🏬MicroSoft Office Me Password Kaise lagate hai ?
Step ko follow kijiye.
Step 1:♨️ Sabse pahle aap MS office me apna Ducoments taiyaar kar lijiye uske baad Office Ke Home Button par click kijiye. Uske baad Save As par click kijiye.
Step 2:♨️ Save As par click ke baad Open window me Ducoments ko Jis naam se Save karna hai usko likhne ke baad Tools par click kijiye
phir General Options par click kijiye.
Step 3:♨️ General Options ke baad New Window open hoga usme Password Submit kijiye.
Step 4:♨️️Yaha par apna Password submit kijiye.
Step 5:♨️Phir OK par click kijiye.Ok par click ke baad ek aur PopUp window open hoga usme apna Password Dubara Submit kijiye.
Step 6:♨️Ab Last me OK par click kijiye.
Step 7:♨️Ab aap pichle Window me jaha par aapne Ducoments ka Naam likha tha waha Save par click kar dijiye.
➡️Ab aapke MicroSoft Office Me Successful Password lag gaya hai.
aap apne Save kiye huye Ducoments ko Open kake Check kijiye.
Waha aap Apna Password Submit karne ke baad hi open kar sakte hai.
👜️Password Remove Karne Ke Liye👜
👇👇👇👇👇
Agar aapko password ko remove karna ho to uske liye bataye gye sabhi Step ko Follow kijiye.
Aur jaha par Password Submit kiya tha us Paasword ko Remove karke Save And Ok Par click kar dijiye.
🌊Note :– MS Office ke Password ko Lagan e ke baad Hamesa yaad rakhe kyuki MS Office ke Password ke Recover nahin kar sakte hai.