🖥LAPTOP YA COMPUTER KA SPECIFICATION KAISE CHECK KARE ?
➡️ 3 Method To Check Full specification Of Your Laptop Or Computer
📍1st Method:-
♥Step.1. Sabse pahle apne Computer ko start kare.
♥Step.2. Iske baad aapke computer me My Computer ka Icon Bana hoga.
♥Step.3. My Computer wale Icon pe Mouse se Right click kare.
♥Step.4. Phir properties select Kare.
➡️Aapko Computer ki puri details dikh jayenge.
📍2nd Method:-
♥Step.1 Sabse pahle aap apna PC on karenge
♥Step.2 Fir aap RUN me jaaye ya fir Aap keyboard me Windows+R Button press kare Uske baad Run open ho jayega
♥Step.3 Uske baad aap type krenge dxdiag
♥Step.4 Fir aap enter press karenge tab aap puri details check kar sakte hai.
📍3rd Method:-
♥Step.1 Sabse pahle aap Keyboard me Start/Windows Button pe Click kare
♥Step.2 Fir uske baad Serch bar aayega fir aap Us Search bar me System Information search kare
♥Step.3 Search jab ho jayega tab aap System Information ko open kare
♥Step.4 Aap Jaise Hi open karenge aapko saari Laptop /Computer ki details show hogi.